Part 2: Ek Adhura Ant
Part 2: Ek Adhura Ant
Delhi jaane ke baad Prateek ki life me ek naya insaan aa gaya—Sagar. Sagar ek handsome, tall, dashing ladka tha. Uske aane se Prateek ki duniya badalne lagi.
Abhi ne ye mahsoos kiya. Usne Prateek se poocha, "Kya tu mujhse door ho raha hai?"
Prateek chup raha.
Dheere-dheere uske messages kam hone lage. Calls short hone lagi. Aur ek din Prateek ne keh diya—"Abhi, mujhe lagta hai hume alag ho jana chahiye."
Abhi ka sans ruk gaya. "Maine kya galti ki?"
Prateek kuch nahi bola. Bas ek message bhej diya—"Main Sagar se pyaar karta hoon."
Abhi roya, gira, haath joda, minnat ki. Usne apni jaan lene tak ki soch li. Par Prateek nahi palta.
Dono alag ho gaye.
Saalon Baad...
Saal beet gaye. Abhi ne suna ki Prateek aur Sagar bhi ek nahi rahe. Aur ab Prateek ki shaadi ho chuki hai.
Uski ek pyaari si beti hai. Aur wo apni family ke saath khush hai. Par kahin na kahin, usse afsos hai. Usse pata hai, usne Abhi ke saath galat kiya.
Aur Abhi?
Wo aaj bhi mohabbat ki talaash me bhatak raha hai.
Shayad kuch pyaar adhure rehne ke liye hi likhe hote hain.
"Ek adhura pyaar... jo dil me basa raha, magar haath nahi aaya."
Comments