Title: Do Chehre, Ek Sach – Ek Dangerous Love Story (Part 1)---
Title: Do Chehre, Ek Sach – Ek Dangerous Love Story (Part 1)---
Marine Drive ki thandi hawa me Raghav ka dil tez dhadak raha tha. Uska samne ek aadmi khada tha—wahi chehra, wahi muskurahat... lekin ek naya naam!
"Arjun Mehra," us aadmi ne apne card me likha tha. Lekin yeh to Kabir tha! Wohi Kabir, jo ek saal pehle Raghav ki zindagi me aaya tha, jisse usne apni duniya se zyada pyaar kiya tha… aur jo bina kisi wajah ke ek din gaayab ho gaya tha!
"Tum... Kabir ho na?" Raghav ki awaaz thodi bhari ho gayi thi.
Arjun ne thande lehze me kaha, "Maaf karo, par tum galat ho. Main tumhe jaanta bhi nahi."
Par yeh jhooth tha.
Raghav ki aankhon me aansu aa gaye. "Tum jhoot bol rahe ho!"
Flashback:
Ek saal pehle, Mumbai ke ek café me Raghav ki mulakat Kabir se hui thi. Ek charming, hansmukh aur caring ladka jo Raghav ki zindagi ka hissa ban gaya. Pehli mulaqat, raat bhar baatein, aur dheere dheere ek ghera rishta ban gaya. Raghav ne socha tha ki shayad use apni zindagi ka wo insaan mil gaya jise kabhi khona nahi chahega.
Lekin ek din, bina kisi wajah ke, Kabir bas gaayab ho gaya. Ek message tak nahi!
Aur ab saal bhar baad, wo same chehra ek naye naam se uske samne tha.
To kya yeh Kabir hi hai? Agar haan, to wo jhoot kyun bol raha hai?
(To be continued... Next part jaldi aane wala hai, judey rahiye!)
---
Comments